|
|
|
|
checkmate.rediffiland.com/
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
प्रियू और मैं..हम दोनो ही साथ सपने देखते और खेलते. प्रियू?? मेरी सबसे प्यारी दोस्त और कौन? कुछ भी हो जाए,हम रोज़ थोड़ी देर सपने देखते,क्योंकि हमें लगता था सपने देखेंगे तभी तो हम आगे बढ़ेंगे,उनको जीने की कोशिश में :) प्रियू हमेशा नखरे करती,कभी नाराज़ होती कभी झगड़ती और तब तक नही मानती जब तक मैं ना मनाऊ.पर मेरे बिना रह भी नही पाती :) मुझे पता था. कितनी बातें होती थी हमारे पास,उफ्फ.., जितनी देर भी बात कर लें ,खत्म ही नही होती थी..मुझे बताती मुझपे कौन से रंग के कपड़े अच्छे लगते हैं,या लगेंगे. ओह..प्रियू और मैं..जाने कितनो की चिढ़ और जलन की वजह थे :) हम हर वक़्त साथ जो रहते थे. मेरी प्रिय दोस्त प्रियू.. कितना समय बीत गया है उसको देखे,बात किए और लड़ाई किए :) पर सबसे अधिक याद आता है साथ सपनों में खो जाना.. शायद वो भी यहीं कहीं हो...पढ़े जो मैने लिखा..पर क्या उसको भी मेरी याद होगी? क्या वो भी याद करती होगी जो वक़्त हमने साथ बिताया था? क्या पता? पर उसकी जो जगह है उसको मैने सहेज के रखा है,क्या पता कब वो आके कहे '' बेटू तुम कभी नही समझ सकी. भुला दिया ना? '' देखो प्रियू बेटू भूली नही तुम्हे,ना भूल सकेगी कभी...वो तो तुम्हारा इंतेज़ार कर रही...आना ज़रूर... आओगी ना?
[मेरी डायरी से]
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Hanslo jaise ki phool haste hain.. Tanhaa hain to kya,mahakte hain.. Koi dekhe ya na dekhe inko.. Muskuraate hain jab bhi khilte hain.. Laakh kaante inhe gheren ye nahi rotey.. Apni khoobsurati nahi khotey.. Jitna jeewan likha jee lete hain.. Hans ke hi khaakh mein mil jaate hain.. Jitne din zindagi hai phool bano.. Ashk pi lo aur khul ke hanso.. Humko abhaas na hoga,jo hasi karti hai.. Kisi rotey ko anjaane hansaa dete hain.. SO SMILE.. :)
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Waqt kisi ek ka to nahi hota.. Koi har waqt to nahi rota.. Ashk ruk jaate hain.. Siskiyaan bhi tham jaati hain.. Bas.. kuch kho jaata hai.. Jab tu nahi hota.. Saath chalna hai to saath chalo.. Yun koi harpal saath nahi hota.. Log milte hain bichhad jaate hain.. Apne bhi gaer ban jaate hain.. Hum tootate hain,aawaaz nahi hoti.. Jab tu nahi hota.. Jaane kitne lamhein mujhmein jeete hain... Aankhein roti hain,honth haste hain.. Roz uthate hain,zindagi ke saath chalte hain.. Chehre rookhe ,rumaal nam hoti hain.. 'Jaane kyon?' ka jawaab rahte dhoondte.. Jab tu nahi hota.. Koi gubaar nahi,ehsaas bikhre bikhre hain.. Koi sadaa nahi ,sab khwaab sahme sahme hain.. Zindagi hai,chalti jaegi,chalti jaae hai.. Sab kahte hain,khushi-aansu do bahne hain.. Khud se hoti hai,kisi se gila nahi hoti... Jab tu nahi hota... Jab tu nahi hota.. [from my diary]
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Don't expect anything from life.. Expectations hurt.. When you don't expect.. Every moment,every thing,is a surprise.. And every surprise brings.. HAPPINESS :)
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
हमको खामोशियाँ भी भाती थी,तेरे होने का एहसास दिलाती थी... आज तुम क़हक़हे लगाते रहे,हमें तेरी मुस्कान याद आती थी..
तेरी बातें ही मेरी महफिल थी,तेरी आहट ही मेरी मंज़िल थी.. तेरे अल्फाज़ गीत गाते थे,आज गीतों से बस मैं गुम थी..
मेरी आँखें थी आईना तेरा,तेरी आँखें ही मेरा जीवन थी...
आज फिर से चमक थी आँखों में तेरी,मैं गायब थी...
वो चार लफ्ज़ तेरा दिल ही तो थे,उनमें शामिल मेरी धड़कन थी...
तेरे संग सारी कायनात गुनगुनाती थी,आज वीरानगी मेरी हम कदम थी..
[मेरी डायरी में से ]
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
'Hum hain kuch apne liye ,kuch hain zamaane ke liye, Har tabbassum hai yahaan,gam ko chhupaane ke liye..' Bahut pehle padha tha ye sher kahin..Tab sochti thi aisa kyon kahte hain...Aaj jab zindagi ko kareeb se dekhti hoon to lagta hai,kitni gahri baat kah di hai shaayar ne. Aaj ke daur mein to aur bhi nazar aati hai iski sachchai.. Hum apne saamne hi apne sachche roop mein hotey hain,apni kamiyon,khoobiyon,dukhon aur sahi maayne mein jo humaare liye mahatva rakhti hain,un khushiyon ke saath...KOI DIKHAAWA NAHI,KOI CHHUPAAV NAHI..SIRF SATYATA.. Jabki kisi aur ke saamne khud ko apne sabse behtar roop mein pradarshit karte hain. Kyonki yadi seedhe saral roop mein jaiye to kshan bhar ko to koi aapki prashansa karega parantu baad mein aap uske liye sirf ek paatr ban jaate hain,ek aisa paatr jisko jaise chaahein ,uphaas udane ko ya apne bheetar ka gussa ya teevr bhaav se aahat karne ko upyog mein laaya jaata hai.Aise paatr ko aaj ke samay mein log bewkoof kahte aur maante hain :) Isiliye sab adhiktar ek banaavati roop le kar chalte hain... Koi bhi vyakti khushiyon mein to bhaagidaar banna chaahta hai,lekin jab koi dukhon se ghira ho aise waqt mein koi bhi us insaan ke saath nazar nahi aata..Aisi duniya mein bhalaa dukh ko pradarshit karne ka kya mahatva ya aavashyakta hai..Isiliye log apne gamon ko apne dilon mein chhupa lete hain aur har waqt khush dikhte hain,muskuraate hain...Sach hi to hai na.. 'HUM HAIN KUCH APNE LIYE,KUCH HAIN ZAMAANE KE LIYE, HAR TABBASSUM HAI YAHAAN,GAM KO CHHUPAANE KE LIYE....'
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Saawan ke din chaar re..saawan ke din chaar :) Jaane kitne geeton se ,sapno se aur mitti ki sondhi mahak se sajaa saawan.. Anek bhaavon ke utaar chadhaav ke palon se sajaa saawan... Jhoolon pe peeng deti,thitholi karti sapne sunti,hansti bolti ,saath khelti sakhiyon ki yaadon se sajaa saawan... Hariyaali se har dishaa ko sanwaar ke ,mausam ko manbhaavan banaata saawan.. Baarish ki tip-tip aur baadalon ki garjana ke saath bijli ki kaundhti chamak sang, sangeet bharaa saawan.. Bholey baba ka sabse priy aur unke bhakton ko jhoomaata hai saawan.. Khushiyon ki phuhaar,geeton ki taan,barkha bahaar laaya saawan... Aap sabko saawan ke pratham divas pe dher sari shubhkaamnaen :)
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Friends,aaj Jagjeet Singh ji ki gaayi hui ye gazal sun rahi thi.Saayar ne kitni khoobsurati se zindagi ke ek ehsaas ko shabdon ka roop diya hai ismein.Hope aap sab sahmat honge:)
गुलशनकी फ़क़त,फूलों से नही,काँटों से भी ज़ीनत होती है.. जीने के लिए इस दुनिया में,गम की भी ज़रूरत होती है..
जो आके रुके दामन पे सबा,वो अश्क नही है पानी है.. जो अश्क ना छलके आँखों से,उस अश्क की कीमत होती है..
करना ही पड़ेगा ज़प्त-ए-अलम,पीने ही पड़ेंगे ये आँसू.. फरियाद-ओ-फुगां से आए नादां,तौहीन-ए-मोहब्बत होती है..
वो पुरशिस-ए-गम को आए हैं,कुछ कह ना सकूँ,चुप रह ना सकूँ.. खामोश रहूँ तो मुश्किल है,कह दूँ तो शिकायत होती है..
गुलशन की फ़क़त फूलों से नहीं, काँटों से भी ज़ीनत होती है.. जीने के लिए इस दुनियाँ में, गम की भी ज़रूरत होती है..
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Hello friends, Kabhi kabhi insaan paristhivash bhaavaveg mein kuch nirnay leta hai. Kabhi wo nirnay sahi to kabhi galat saabit hotey hain.Alvida kahney ka mera nirnay bhi uchit nahi tha. Aap sab meri vaapasi mein saath rahenge aisi aasha hai.. -lata
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Dear friends, Aaj mere is iland ne 10 months ka safar poora kiya hai..Is safar ke dauraan maine bahut kuch dekha,samjha aur seekha..Aaj un sab anubhavon ko saath le kar hamesha ke liye ja rahi...kyonki jaana zaroori hai..Aap sab hamesha khush rahiye yahi Ishwar se prarthna hai...Ab aapse vida... ALVIDA... -Lata
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|